Part 1-Shadows Aweken


April ka mahina shuru ho gaya hai aur mahaul mein khushiyaan phail chuki hai. Logon ke chehron par muskurahat thi aur ummeed ki kiranen jagmaga rahi thi. Sab kuch normal tha, jaise har saal hota hai. Bacche khel rahe the, log apne roz ke kaam mein vyast the aur garmi ke saath-saath naye sapne bunte ja rahe the. Har taraf ummeed ki hawa chal rahi thi aur zindagi naye rangon mein rang rahi thi.


Ek  din achanak bhukamp ke saath-saath aasman par andhera chha gaya. Log shok ho gaye aur dar gaye. Kuch palon tak, sab kuch ekdum se sthir ho gaya, jaise ki samay ruk gaya ho. Par dheere-dheere sub normal hone lage. Log apne kaam mein lag gaye, jaise kuch hua hi nahi tha. Kuch log bhul bhi gaye ki kuch aisa hua tha. Par andar se, kuch logon ke man mein woh dar aur ashanka ab bhi chhipe hue the, jaise kuch bhayanak hone wala hai.

Kuch Dino baad ek Astronomer Mr. Devraaj vanu  raat ko aasman ki research krre the or achank unhe ek ajeeb si roshni aur kaala dhua dikhayi diya.Unhone is anokhi ghatna ko dekha to shock hua aur turant apni team ko bulane ka faisla liya, per tab tak woh ajeeb roshni aur dhua gayab ho gaye the. Agli subah, is ghatna ke baare mein news channels par khabar chhap gayi. Iske baad, mr Devraaj aur unki team ne aur gehri jaanch shuru ki, lekin unhe ab tak kuch nahi mila tha jo is anjaan ghatna ko samjha sake.

Kuch mahino baad, log ye ghatna bhool gaye aur apni rojmarra ki zindagi mein wapas laut gaye. Lekin dusri or rishis, babas, tantriks jaise logon ko kuch ajeeb mehsoos hone laga, jaise kuch bura hone wala hai ya koi badi ghatna hone wali hai. Apne anubhavon aur shaktiyon se, woh anjaan khatra ko mehsoos karne lage, jo unki rooh ko chhoo raha tha. Isi dar ke saath, ve apni taiyariyon mein jut gaye, taki aane wale khatre ka samna kar sakein.

Uttrakhand ke Haridwar ke shant vano mein, rishis aur tapasviyon ka samuday dhyan aur tapasya mein vyast tha. Har subah, dhyan mein in rishis ka manthan gyan aur adhyatmik anubhavon se bhara hota tha. Aur is tapasya ke madhyam se, sabhi rishis apne antarik shaktiyon ko jagrat aur sashakt kar rahe the.

Rishi Dhruvmuni, ek mahaan rishi, apne ashram ke andar samadhi mein baithe the. Unki tapasya ne unhe 150 varsho tak apne antarik atma ki khoj mein lagaya rakha tha. Lekin us din, bhukamp ke aane ke saath-saath, unki samadhi bhang ho gayi. Unhone apne anubhavon ke jharonkon mein se uthkar dekha aur prakriti ke asankhy roopon ko mahsus kiya.

Unhone dekha ki kaali shaktiyan phir se prakat ho rahi hain, aur logon mein aapas mein jhagde, rajneetik vivad, aur danga-fasad badh rahe hain. Ye sab kaali shaktiyon ko taakat de rahi hai aur phir se jagrit krri hai.Rishi Dhruvmuni ne samjha ki kaali shaktiyon ka prakat hona bura sanket hai, aur isne unka dhyan kiya.

Rishi Dhruvmuni ne apne ashram ke sabhi rishiyon ko bulaya aur unhe is bhaari samasya ke baare mein bataya. Unhone unhe jagruk kiya ki kaali shaktiyon ka punah prakat hona bhayankar parinam laa sakta hai, aur unhe isse nipatne ke liye taiyaar rehna hoga.

23 April, Bhangadh k jangalo m 5 college ke students adventure or horror cheeze explore krne ja rhe the jisme 3 ladhke or 2 ladhkiya thi.Ravi, Gautam, Sunny, Muskaan or Shreya. Vo ek anokhe adventure ke liye jungle ki taraf nikalte hain. Subko paranormal chezee explore krni thi jo unki samajh se pare hai. Jab sham ho jaati hai, vo lautne ka raasta kho dete hain, aur aakhir mein ek camp lagake thaharne ka faisla lete hain.

Camping ke dauraan, jab sab maje se masti kar rahe hote hain, per kuch Der baad unhe ek ajeeb si awaaz sunai deti hai, jisse vo excited ho jate h or us awaaz ke picha krne lgte hai, vo  ek gufa pe pahuchte jo unhe ek purane kile le tak jaata hai. Kile pahuchte hi sub or excited ho jate or voh anjaan awaaj or tez or clear hote jati (aap Amar ho , aap hi humare swaami ho).

Awaaj ka picha krte hue Shreya bolti yha kuch theek nhi hai wapis chlte hai, Gautam b agree krta hai per Ravi or Sunny unka majak bnate or paacho ek darwaaje ke pass pahuchte ab awaaj puri clear thi jese kafi log kisi shetaan ki pooja krre ho . Vo chup chap darwaja kholte or dekhte to waha hazaaro aatmaao ka samuh saamne aata hai, jo unhe darane ki koshish karta hain. Ya sub dekh e sub wapis bhaagte or achanak se Gautam fisal jata or aatmao ghere mein phans jaata hai, Ravi dekhta or usse bachane ki koshish karta hai,per tab tak sub gayab ho jata.

Bachte bachate vo apne camping ki jugah tak pahuchte hain, or dar k mare sub sath rehte or subhe hote hi guys ki khoj krte per ab  us jugah unhe kuch nhi milta. Vo is ghatna ko police ko report karte hain, lekin kisi bhi prakaar se koi pramaan nahi milta. 

Ek din Ravi raat ko gehri nid m hota or dekhta Gautam ko apne sapno mai jo ki bolra hota hai Ravi mujr bacha le yha se. Per jese vo uthta h to dekhta ye sapna tha. Vo kafi Dino se is sapne se preshan rehta fir ek din voh akela jungle mein lautne ka faisla karta hai, Gautam ko dhoondhne ke liye. Jb vo ye dosto ko btata to koi uska sath nhi deta kyoki sub dare the wapis us jungle m Jane se.

Inspector Ajay ,dopeher mein jangal ko Gautam ki talash mein apni team Mohit, Ali, Harsh, aur Rahul ke saath lekar niklte  hain, lekin unhe kuch saboot nhi milta. Bhangadh ka jungle apne raaz aur khatarnak chehre se mashhoor hai, to sham hote hi sub log wapis aa jate.Wahi dusri oor Ravi, us raat ko Gautam ki talash mai jangal ko nikalta hai. Uske andar dar aur utsukta ka mel hai, jisse wo khud ko samajhne aur Gautam ko bachane ka jazba mehsoos karta hai. Andhera chha jata hai jangal mein, lekin Ravi ka hausla buland hai, aur wo akela nikal padta hai.

Raat ke 12:30 baje Ravi wahi jagah pahuchta hai jahan usne Gautam ko khoyaa tha. Gufa whi manhood thi , aur aas paas sirf andhera. Ravi ka dil dhadakne lagta hai, aur uske dimaag mein sawaal paida hote hain - kya sach mein Yaha gautam jinda hoga? Par uska hausla buland hai, aur wo andar jaata hai, andar jaate hi, sab kuch shant hai, koi awaaz nahi, vo us darwaaje k Ander jaata or dekhta waha Gautam Ravi ke samne khada hai, lekin uska chehra ek ajeeb si udasi aur dar se bhara hai. 

Gautam Ravi se kehta hai, "Ravi, tu yahan se chala ja, tu yaha kyu aaya? Mai theek hu ye tuje marna chahte hai bhai, tu bhaag yahaan se." Par Ravi himmat dikhata or wo apne dost ko bachane ke liye aage badhta. To ek kaala saaya tezi se aaya or Ravi k Ander chla jata.

Gautam behosh or jab usko host aata h to uski nazar Ravi ki laal aankho pe jati . Ravi ek patthar k makbare ke bagal m kuch mantra padh raha hota. Gautam usko dekhta or bolta Ravi tu kya krra hai? Per Ravi koi jawaab nhi deta. Gautam ke per m chot lagi thi vo jese tese Ravi k pass jata or ravi ka hath pakdhta to Ravi use ek hath se hi kone me fek deta or gautam behosh. Ravi ab kafi shakishaali h or gautam use akela nhi rok skta.

Subhe hote hi Gautam apne ko jungle k beech mai paata or dekhta Inspector Ajay or unki team uske pass k . Use kuch yaad nhi hota per Gautam kafi ghayal hota. Hospital se discharge krane k baad Inspector Ajay gautam se Puchtaaj krte per Gautam ko kuch yaad nhi. Sub Dost Gautam se milne aate sirf Ravi ko Chorkar jo Gautam ka best friend tha.

Rishi Dhruvmuni aur sabhi munis shanti yagya kar rahe the, achanak ek tez hawa aai or  unka yagya bhang kar diya . Hawa itni tez thi ki hawan kund ki agni bujh gai aur un sab ko dar se bhara. Rishi Dhruvmuni smj gye ki kaala saaya apni shaktiyaa Hasil kar chuka hai or subhi munis ko samjhaaya ki ab unhe apni shaktiyon ko jagrat karke is anjaan khatre ka samna karna hoga, jisse us kali shakti ka samna kar paye.

The end.



Comments

Popular posts from this blog

Part 2- THE MIDNIGHTER